Royals Mag

Saturday, 7 November 2015

Social Media In Pakistan Urdu Speech Social Media Ke Nuksan Disadvantages Social Media Debate

Social Media In Pakistan In Urdu Speech Social media ka door hai yeh hamari zindagiyoun mein khuch is ttor dakhel ho chuka ha ke lakh chahne ke bawajood hum is talasam se bahir nahi nikal sakte.goya yeh koi aisa shehre talismat ha ke jis mein jane ka rasta tu ha lakin wapsi ka koi darwaza nahi.social media ka nasha khuch aisa ha ke is mein har koi mubtala nazar ata ha.kya chota kya bara kya bura kya nojayan ....garz sab hi is ke aseer nagar ate han.is mein shuba nahi ke har cheez ke khuch musbat aur khuch manfi pahlo hote hankharabi is waqat peda hoti ha jub atedal ka daman hath se choor dete han. Yehi waja hai ke social website ko mashare mein dar aine wali tamam chizon ko zimadar thehrana nainsafi ha.kyoun ke social media ke bohat se faide bhi han.

Shart wohi hai ke ap darust andaz mein is ka istemal karainke kisi sheh ka istemal hi ise acha ya bura banata ha.inhin websites ki badolat jahan humain bohat si baton aur khabron ka illm fori toor se ho jata ha wahin is ke bais aisa bhi huya ke barsson ke bichre ddost ahbab ak dosre se mil gaye.facebook ke zariye hone wali dostiyoun ko napaidar samjha jata ha aur inhair mashray ki kharabiyoun ka zimedar thehraya jata hai.lekin yahan aisa bhi huya hai ke do hum khayal ak dosre se mutaraf huye aur phir shadi ke bandahan mein bandh gaye.

Bohat si khabrain aisi hotii han ke jo media par nashar hone se pehle hi in websites par nashar ho jati han.in se behtar koi zariya nahi ke jis se hum apne khayalat dosroon tak pohncha sakain aur in ke khayalat aur halat se agah ho sakain.isi social media se hum chahen tu bohat se falahi kaaam ghar baithe kar sakte han.bohat si khawateen aisi han jinhon se inhi web sites  ke zariye apna karobar shuru kiya.aur inhin ko apne chote mote business ki publicity ka zariya banaya aur aaj ghar baithe inhi karobar se faiz utha rahi han.taham haliya sarway in websits ke bare mein batate han ke in ke sabab hum apne rishton mein bagar peda kar rahe han.jo zahir hai ke ak khatarnak suratehal hai.

Jaded tareen sarway ke mtabik aj kal hone wali 66% talakain inhin social media ka tohfa han.isi social networking ke sabab hum apne ristoon mein rakabat,hasad aur dushmani ke jazbat jaga rahe han.is par sitam yeh hai ke bohat se wakla ka eh khna hai ke inhain apne talak ke cases ke liye shawahid aur sabot facebook se hi miltay han.aiye in wajohat ka jaiza lete han ke jo app ke rishton mein bagar ka sabab banti ha.is ke sath sath aap ke liye khuch tajaweez paish ki jain gi ke kin batoon se parheez karain aur kin par amal karna aap ke liye acha hoga.khabhi apne kisi kareebi rishtedar ke bare mein koi manfi comment post na karain.khaya is se app ka kitna hi iktelaf kyoun na ho social websites per is kisam ke jhagron ko cherne k bajaye inhain ghar ke andar hal karain.agar app ne apne kisi dost ya karibi rishtedar ke bare mein ya is ki kisi aadat ke bare mein post kar diya tu wo bat palak jabakte sare jahan mein alm namrah ho jaye gi.

Sare dost ahbab aur colleagues is ko parhain ge aur phir is par tabasre dain ge.yeh baat zahir hai ke matalka shaks ko ye baat pasand nahi ayee gi aur wo aap se naraz ho jaye ga.isi tarhan agar aap ne kisi bat ki tafseel bayan nahi kilakin kisi apne ke bare mein koi aisi baat post kardi jo mabham ho aur kisi ki samaj mein na ayyee tu jan lain is se mazeed kharabi janam legi.app ka dost isay arh kar sharmindagi mein mubtala ho jaye ga wo yehi soche ga ke app ne is mani khaiz post se kya kya matlab nikala ho ga.

Balke isi website se sare friends ki taraf se kayas arai ka silsala shuru ho jaye ga,lehaza apne kisi dost,ahbab,ya partener se aa ki koi shakayat ho tu isay zahir karne ke liye facebook ko khabhi zariya na banain.social wbsites par dost banate huye ahteyat karain aur is ke liye apne khuch asol waza karain.agar aap shadi shuda han tu shohar se is mamle mein zaror tabadla khayal kari raha karain.bohat se log aise han jinhen aap ke shareke hayat pasand nahi karte honge.isi tarhan bhat se afrad ap ke liye napasan deda honge.lehaza bahmi masware se naye friends banain.is ke ilawa yeh bhi teh kar lain ke aap ko konsi batain share karni han aur kis had tak karni han.

Family ke mamulat is website per disscuss na kiye jain tu behtar ha.kyoun ke inhain sab parhte han.aaj kal is bat ka bohat charcha hai ke social media ki dostiyon ne humain apne karebi doston aur rishte daron se door kar diya hai.hum apna beshtar qemti waqat dosron ki post aur status parhne aur apload karne mein guzar dete han yeh bat khuch aisi galat bhi nahi ke online rahne ki lat mein hum apn ird gird baithe logon se gafil ho jate han.jo namunasib baat hai.lehaza social media ko atedal ki had mein rahte huye istemal karain,online hone ka ak waqat mukarar karain is ke bad apna mobile aur laptop side par rakh dain.social media account par har waqat log in na rahain balke ye waqat apne payaron ke sath bath kar in ke sath hunste bolte huye guzarain.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles