Royals Mag

Saturday, 7 November 2015

Subah Uthne Ke Faide Urdu Morning Walk Benefits Subah Ki Sair Essay

Subah Uthne Ke Faide In Urdu: Sab jante han ke subha saware uthna hamare liye kai tarhan se faida mand ha.lakin dore hazar ka chalan khuch aisa ban gaya hai ke subah sawere uhtna bohat mushkil ho gya hai. Is ki sab se bari waja hamare life style ka change hona ha.hamare rahan sehan ka andaz wo nahi raha jo huya karta thaab hum ne bohat se aise kaam aur aisi masrofiyat apne pale band li han ke jis ke sabab hamara bohat sa wakat zaya ho jata hai aur yehi nahi in befaiz masrofiyat ke nateeje mein thakawat tari ho jati hai.aur phir subha saweere uhtna mumkin nahi rehta aksar o bestar raat gaye tak bahar rehna,bahar dinner karne ya uting karne jana deer tak tv dekhna ya lap top ya mobile par ak se dosri social website par ghar chakar bane rehna.ye tamam aisi masrofiyat hai jin mein se koi bhi hamare liye ashad zarori ya lazmi nai.

Zayada kharabi is waja se peeda hui hai ke ab khawateen khana bhi isi uljhan mein phansi nazar ati han. Kehne ka matlab ye nahi ke khawateen ko jaded tecnology istemal karne ya tafree karne ka koi haq nahi balke asal masla ye ha ke aj ki khana dar aurat apna waqat kho behti hai,zamane ke sath chalain aur waqat ke taqaze zaror nibhaye.lakin waqat ki taqseem khush is tarha se karain ke tamam kam khush aslobi se anjam painye baat tu aap bhi manain ge ke jis ghar mein khatune khana subha saweere uthne ki adi ho wahan ghar ke baki afrad bhi is ki takleed karte nazar ate han. So yeh zima dari ap hi ki ha ke apne ghar waloon ko subha saweere uthne ka aai banai. 

Dunya bhar ke wo tamam afrad jinhon ne azeem kam sar anjam diye,aur bare loog kahlaye in ke halate zindagi ka jaiza liya jaye tu maloom hota ha ke wo sab ke sab sehar angeez the. Balke aaj ke door mein bhi tamam bare aur mehnti afrad subha jaldi uhtne ke aadi han jaded search ne bhi ye bat sabat ki ha ke subha sawere uthne ke bhi bare faide han is silsale mein mahireen ka kehna ha ke subha ke 5 baje se lekar 8 baje tak ka waqat intehai pursakoon hota hai is waqat koi ap ke kaam mein mudakhalat nahi karta.zehan bhi pursakon aur tawanai se bharpoor hota ha.lehaza ap itmenan se apne kaam sar anjam se sakti han.yehi waja hai ke dunya bhar ke kamiyab logo ka nara ha ke kamiyabi talo sahar ke sath milti ha.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles