Arq e Gulab Banane Ka Tarika Urdu
How To Make Rose Water At Home In Hindi Phool kitnay haseen hotay hain par gulab ke phool ki baat tou khuch aur hi hai ye phool mohabbat ki nishani tou hai hi magar sath mein is ke faide bhi bay misal hain is se arq e gulab banaya jata hai jo chehre ke liye bohat umda hai jis ke koi nuqsan bhi nahin is se ham apni khubsurati ko pehle se kahin behtar bana saktay hain ye shope waghera mein asani se milt sakta hai par woh log jo isay khud apne ghar par tyar karna chahain khas tor par womens tou aaj aap ke liye behtareen aur asan method muhaiya kiya ja raha hai takay aap apne home par sakoon se aur jitni marzi maqdar mein rose water tayar karain. Arq-e-Gulab yani galab ka pani ya phir rose water jisay aam toor per khushbo ke liye istemal karte han aur is ke ilawa arke gulab ko khanay mein bhi istemal kiya jata hai. Arq e gulab jild ke nikhar aur ankhon ki jalan ke liye bhi istemal kiya jata hai darj zail mein arq e gulab ko ghar mein banane ka tareqa bataya gaya hai. Jis se aap ghar mein khalis arq e gulab bana sakte hain.METHOD
- Sab se pahle gulab ke phol ko dho kar is ki patiyan alag kar lain.
- Ak dekchi lain is mein lohe ka stand ya choti steel ki plate ko ulta kar ke under rakh dain.
- Ab dekchi mein itna pani dalain ke patiyan doob jain.
- Dekchi ke dhakan ko ulta kar dhak dain.
- Ab dekchi ke uper baraf ke tukre rakh dain aur halki anch per chor dain 20 se 30 ke liye agar baraf pigal jaye tu mazeed baraf rakh dain.
- 20 se 30 minutes mein gulab ki patiyan safeed ho jain ge.
- Phir chulha band kar ke isay thanda hone dain arq e gulab tayar hai.
Post a Comment