Royals Mag

Friday, 18 December 2015

Kashmir History In Urdu Kashmir Information Masla e Kashmir Ka Hal

Kashmir History In Urdu: Barsageer pak hind ke shamal magrib mein wakai ak rayasat , kul rakba 69547 maraba meel hai.  1947 ke baad rayasat jamo wa kashmir do hison mein takseem ho gai. Is waqa bharat 39102 muraba meel per kabiz hai. jo ke makboza kashmir kehlata hai. Is ka darul hakomat siri nagar hai. bakiya alaka siri nagar kehlata hai. jo ke 25000 hazar muraba meel rakba per phela hai. Is ka darul hakomat muzafara abad hai. Rayasat ki kul abadi 1 caror ke kareeb hai.  Jis mein se 25000 azad kashmir mein hai. Hindu rajaoo ne takreeban 4 hazar saal tak is alake per hakoomat ki. 1846 mein angarezoo ne rayasat jamo kashmir ko 75 lah rupee ooz dogra raja gulab singh ke hath farokht kar diya. Kasmir ki abadi 80 fesad musalmano per mushtamil hai. Hindu raja ne bazoor shamsher musalmano ko gulam banaye rakha. takseem hind ke baad hindu maharaja hari singh ne musalmano ki marzi ke khalaf 26 october 1947 ko bharat ke sath rayasat ke ilhaq ka elan kar diya. Is ke natije mein pakistan aur bharat mein jung ka agaz ho gaya. Salamti council ki mudakhalat per 1 jun 1947 ko jung bandi ho gai. 

Salamti council ne 1948 mein manzoor shuda do karar dado mein bharat aur pakistan ko kashmir se afwaj nikalne aur wadi mein raye shumari karwane ko kaha. Bharti wazere azam pamdit jawahir lal nehru ne rai shumari karwane ka wada kar liya . Magar bad aza is se mamungarif ho gaya. Pakistan ne bharat se azad karaye gaye alake mein azad kashmir ki rayasat quim kar di. Kashmir ka tanazaya abhi tak jari hai. Pakistan aur bharat is ko puraman yareqe se hal karne ke lie masrof e amal han. Jamoon aur kashmir ka alaka paharoon aur khobsurat wadiyoun per mushtamil hai. Yeh jannat nazeer wadi sayahoon ki kashish ka bas hai.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles