Coconut Water Benefits In Urdu: Nariyal ka darakht jisay english mein coconut tree kehtay hain khubsurat hone ke sath lazeez phal yani khopra aur faidon ka baes hai. Rozana nariyal ka pani pene se na sirf aap khobsurat nazar ayen ge balke balke yeh chak o choband rakhne mein bhi madad gar sabit hota hai. Narial ke pani se mutalik haliya inkeshaf huya hai ke aise afrad jo nariyal ke pani ka isemal bakaidgi se karte han in mein na sirf khon ki gardish teez hoti hai bale in ka blood pressure bhi normal rehta hai. aur aise afrad mein dil ke dore sameet degar dil ke amraz dosroon ke muqable mein kam hote han. Yehi nahi nariyal ka pani bloood sugar level ko bhi control rakhta hai.
Nariyal Pani Ke Faide: Khopra Tahqeeq se sabit huya hai ke nariyal ka pani wazan kam karne aur quwat mudafiyat barhane mein madad gar hai. Aksar doctors hamla khawateen ko nariyal ka pani istemal karne ka mashwara dete han. Jo kabaz ki surat mein hamla khawateen ke liye behta sabat hota hai. Nariyal ke pani mein potaciam aur magnaciam ki mikdar zayada hoti hai. Jis ke istemal se insaan ke peshap ki mikdar mein azafa hota hai. Aur khas toor per gurdoon ke marizon ke liye faida mand sabit hota ha. Agar app chehre per keel, mahasoo se pareshan hai tu fori toor per nariyal ke pani se chehre ka masaj karain. Jo chehre per phinciyoun ke khatme ke liye bhi mufeed hai. Yehi nahi nariyal ka pani hathon ko naram aur nakhuno ko khobsurat rkhane ke liye bhi istemal kiya ja sakta hai.
Friday, 18 December 2015
Coconut Water Benefits In Urdu Nariyal Pani Ke Faide In Pregnancy Coconut Tree Hindi
Posted by Royals Mag on 00:08 in Health | Comments : 0
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
Post a Comment