Machar Marne Ka Tarika In Urdu - Machar Bhagane Ka Totka
Mosquito Killer Tips In Urdu: Garmiyoun ki amad ke sath machron ki yalgar bhi shuru ho jati hai. Raat ko agar loadshading ho rahi ho tu pankhay band hone ki waja se machroon ke ware nayare ho jate han. Machroon ke katne se jahan neend kharab hoti ha wahan gengi aur maleria jesi bemaiyoun ka khatra bhi mandlata rehta hai. Machroon ko bhagane ke liye quil aur jism per lagane wale lotions mojod han. Lekin in ke muzar asrat bhi hote han. Machroon ko khud se door rakhne ke liye khuch gharolu tarqeebain bhi han. Jinhain azmanemein koi haraj nahi.
1: Neem ka tail
Lotion ke muqable mein yeh totka bohat sasta hai. Aap neem ke tail mein yaksaan mikdar mein nariyal ka tail milain. Aur sone se pehle isay jism per mal lain. Machar taqreeban 8 ghante taak qareeb nahi bhatkee gay.
2: Kafor
Kamra band kar ke taqreeban 20 min tak kafor ki dhoni dain. Aisi mom batiyan bhi dastiyab han jin jin ke moom mein kafor mila hota hai. Is se jahan kamra khushboo dar ho jata ha waha machar bhi bhage mein aafiyat mehsos karte han.
3: Tulsi
Tulsi ke poday nursary mein aam han. In podon ki sabaz patiyan aur agawani phool dono khushboo dar hote han. Tulsi ke pholon ke khushak hone ke baad jo kale beej jarte han inhain hum tukham balanga ke tor per istemal karte han. Gamle mein lage tulsi ke pooday ko khirki ke kareeb sa ja dain. Is se ak taraf machroon ki afzaish ruk jaye gi aur dosri taraf is ki khusboo isay muntashir rakhe g.
4: Lehson
Lehson ko pani mein boil kar lain. Aur phir is pani ko kamre mein chirak dain. Machar is kamre se do gaz door rahain ge. Agar aap lehsoon ki bo bardaht kar sakain tu isay app apne jism per bhi laga sakti han.
5: Levendor
Is khushboo dar bhegni phool se tayar tail ki waja se kamre mein bhi motar rehta hain aur machroon se bhi hafazat rehti ha. Kisi cream mein is tail ke chand katre mila kar aap jism per bhi mal sakte han.
Post a Comment