History Of Quetta In Urdu Quetta City Essay Quetta Ki Tareekh
Jub angoor ki beelain kisi mast nagan ki tarah bal khati hoi nazar ati hain jib khobaniyon ke safaid phoolon ki bheeni bheeni khushbu aap ke dil o dimagh ko motar karne lage aur jub gulbar ke darakht aap ki thaki hoi ankihon ko thandak pohanchana shuru kar dain tou samjhain keh aap quetta ke mazafat mein pohanch gaye hain.Quetta payala nama wadi hai sare shehar ki sair admi ba asani chand ghanton mein kar sakta hai. Ajeeb tazadat ka shehar hai qandhari bazaar mein nikal jaiye tou Afghanistan ki koi cheez nahin milay gi. Sara jinnah road ghoom lain Quaid e Azam ki tasweer shayed hi kisi dukan mein latki nazar aye. Henna Jheel ki sair kijiye, pani ki aik boondh aap ko milni mushkil hai is ke bawajood quetta city mein aik husn hai aik ranai hai. Chota sa shehar hai par saaf suthra hai jo 1935 ke zalzalay se bilkul tabah hua tha ab kafi nifasat ke sath phir ubhar raha hai. Fauji chaoni hai ird gird ke baghat ke silsile hain sham ko residency road par nikal jaiye tou tabiyat bagh bagh ho jati hai. Chanar aur saru ke do rawaiya darakhton ne tamam sarak par aik chatri si tan rakhi hai. Sham ko jub thak jayien tou lal kababiye ki dukan se kabab khayien.
Post a Comment