College mein taleem hasil karne ke duran sigrat ko muthi mein daba kar kush lagana bohat acha maloom hota hai. Talib ilm khud ko hero mehsoor karte han. Lakin jub yehi talib ilm zindagi mein kadam rakhte han tu sigrat ke muzar asrat in par parhnay lagte han. Woh sigrat noshi tarak karna chahte han lakin kar nahi pate,aaye hum dakhte han ke aap sigrat noshi kese chor sakte han. Nigoteen ka nasha... Singapoor general hospital ke doctors kenth chan ping kehte han ke ke cigarette ka aahm jzo nikoteen intehai nasha awor hota hai. Is ke muqable mein kokeen aur bhang ka nasha halka hota hai. Galban isi waja se aap cigarette noshi se asani se chutkara hasil nahi kar pate. Aap ki kuwat aradi bhi is mamle mein kamzoor parh jati ha. Chanacha cigarette tarak karte waqat mehaz quwat aradi ka sahara hi na liya jaye balke dawayee bhi istemal ki jain. Cigarette NOSHI BATADREJ TARAK KARAIN... cigarette achanak tarak karne ke bijay, batadrej tarak ki jaye. Achanak cigarette noshi tarak karne per aap bekeefi ka shakar bhi ho sakte han. Asi kefiyat mein aap ka hath phir ki cigarette taraf bhar sakta hai.. Agar app rozana bees sigrat peetay han tu yeh tadad kaam kar ke 15 kar dain. Is ke baad 10 aur phir 5 aur phir ak waqat aisa aye ga ke aap siraf 2 ya 3 taak cigarette mehdood ho jain gay.phir in 3 cigarette ko chorna aap ke liye zayada mushkil nahi ho ga. Akhir in teen Cigarette ko chorne ka arada ki jiye aur behtar hoga ke is ke liye koi hadaf mukarar kar lijiye. Masal ke toor per apni salgira ke din yeh tahaiya kar lijiye ke ab aap sigrat ko hath nahi lagain ge. cigarette aap ke hath masroof rakhti ha. cigarette noshi ka sab se bara nuksan yeh ha ke aap ki bhok batadrej kam hoti chali jati hai. Cigarette noshon ko khane ka maza zuban per mehsoos nahi hota, Is liye nikoteen ki teh zuban per jamne se zaiqe ko mehsoos karne wali his khatam ho jati ha. Cigarette noshi ka dosra bara nuksan yeh hai keke app ka hath masalsal masroof hota hai. Aap koi aisa kaam nahi kar patay jis mein dono hathon ki zarorat parti hai apne hath ko azad rakhne ke liye Cigarette noshi taraq karna bohat zarori hai. NOGOTEEN CHAWINGUM ISTEMAL KIJIYE... cigarette noshi taraq karne ke liye ab nigoteen chawingum baza mein farokht ho rahe han. Inhain chosnay ya chubane se nigoteen ki talab puri ho jati hai. Jub ke sigrat ka dhuyan app ke naak aur halak ko betahasha nuksan pohnchata hai. Aur aap ki benai per bhi asar abdaz hota hai. Woh afrad jo sigrat noshi taraq karna chahte han. Nigoteen chawingum istemal karain aur batadreej is ki tadad mein kami karte jain. Is ke ilawa zuban per jami nigoteen ki teh ko kaam karne ya is ko khatam karne ke liye tarsh phalon ka istemal karain. Kino, malta aur lemon anigoteen ke asrat ko kaam kar ke Aap ki bhok bharha dete han. NAFSIYATI ILAJ..
Nafsiyati ilaj mein doctron aur nafsiyat danoo ki ray aur mashware shamil hotay han sigrat noshon ko is ke muzar asrat se agah karne ke liye lecture diye jate han. Jo in ke damagh per khush gawar asar dalte han in lectures ka markazi nukta yeh hota hai ke cigarette noshi tarak karni chahiye is liye ke yeh nasha awar hai.in lectures ke ilawa cigarette
noshon ko aisi adwiya bhi di jati ha jo sigrate chorne mein madad deti hai.
Post a Comment