Royals Mag

Thursday, 24 March 2016

Girtay Baloon Ka Oil, Girtay Baloon Ka Totka In urdu

Hair expert ka kehna hai ke agar 50 se 70 bal daily gir rahe han tu is mein pareshani ki baat nahi hoti, balke bilkul normal baat hai ke itni tadad mein rozana baal girtay han. Taham agar batai jane wali tadad se zayada baal gir rahe han tu yaqeenan pareshani ki baat hai. bachiyoun ke liye yahan mazeed khuch tips batai ja rahi han. Experts ke mutabik in tips mein se koi ak tips batai ja rahi han. Experts ke mutabiq in tips mein se koi bhi ak tip bachiyoun ke balon ko madenazar rakhte huye azmali jay tu yaqeenan in ke baloon ko mazeed girnay se bachaya ja sakta hai. Coconut oil ko garam kar ke baloon ki jaroon mein masaj kar ke ak ghante ke liye baloon mein laga rahne dain, phir dho lain. taza khopre ko qado kaash kar ke is mein thora sa pani dal kar past bana lain, is past ko baloon ki jaroon mein lagain aur raat bhar laga rahne dain. SUBAH ko sar dho lain, bachiyoun ke baloon ka patla hona aur in ke ganje pan ko khatam karne ke liye yeh nuskha bohat hi kar amad hai.
2): ak payaz ko chop kar ke is ka rus nikal lain. is rus ko baloon ki jaroon mein lagain, 15 min ke baad bal dhoh lain. Hafte mein 2 bar lagane se baloon ki nashornuman  mein tezi ayee gi. Payaz mein mojood selfor ak taraf baloon ki nasurnuma mein azafa kare ga tu dosri taraf baloon ko girne se bhi rokay ga. Chan joway lehson ko koot kat coconut oil mein mila lain. Aur is ko boil kar lain jub thanda ho jaye tu is oil se bachiyoun ke sar ki malish karain. Bakaidgi se is amal ko duhrain. Is amal se girte huye baloon ko mazeed girne se bachaya ja sakta hai.
3): Ande ki safeedi ko zetoon ke tail mein milain dono cheezon ko achi tarhan se mila kar past sa bana lain. Is past ko sar ki jild ke ilawa baloon mein bhi lagain.  Baloon ka rukha pan khatam bhi ho jaye ga aur woh chamakdar bhi ho jain gay.
4): Amla ko baloon mein sadiyoun se bhi lagaya ja raha hai. Is ke isteemal se baal teezi se bharte han. Amla ke rus ya powder mein lemon juice hum wazan mila kar is past ko baloon mein lagain. jub sokh jaye tu bachi ka sar neem garam pani se dhula dain. Is amal ko hafte mein ak baar dhuhra kar baloon ko girnay se bachaya ja sakta hai. Maholiyati aloodgi, parhai ki tenshion aur manasab gaza ki kami bachiyoon mein baloon ke masail ko barhane ka ak aham zariya han. Is ke ilawa agar in ke baloon ki safaiyoun ka bhi khas ahtemam nahi kiya jata tu is se bhi baal teezi se ghirne lagte han. Is liye balon ki safai rakhne ke sath sath bataye jane wale nuskhon mein se koi ak bhi baqaidgi se azmaya jaye tu bachiyoun ke baloon ko ghirnay se bachaya ja sakta hai. Is tarhan in ke baal wapis se bharna shuroo ho jain ge aur amauoo ki tenshion bhi khatam ho jaye gi.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles