Pait Ke Kiroon ke liye surakh tamater kat kar sayah mirach aur namak chirak kar nahar moon khane se peet ke kere mar jate han.
Jin afrad ke moon mein bar bar chale ho jate han woh salad ki jagah tamater khaya karain. Neez tamater ke rus mein baraber wazan pani mila kar garare karne se bhi chalon mein azafa hota hai.
Agar subhan nashte mein ak glass tamater ke russ mein 1 chamach shehed mila kar pee liya jaye tu is se jigar aur pephroon ko taqat milti hai. yadasht mein azafa hota hai. Blood presure kam hota hai. Neez jild ke amraz se bhi hafazat rehti hai.
Woh log jo apna motapa kaam karna chahte han woh khurak per control karte huye warzish ke sath sath kacha tamator, Lemon aur payaz ke sath khaya karain wazan herat angeez tor per kaam hone lage ga.
Yarqan ke mareez ke liye kafi hai ke woh tamater ke russ ka 1 glass rozana piya kare.
JIldi bemariyan ya khon ki kharabi se, daad , chanbal, ya kharish ho tu is ke liye din mein 3 ya 4 bar tamator ka russ piya jaye. Kyoun ke is ki tarshi khon ko saaf karti hai. Jildi bemariyoun ke liye tamator kr juice mein koi cheez nahi milani chahiye.
Garmiyoun ke mosam mein kacha tamator khane se jild ki khuski door ho jati hai. aur ghatiya ke marizoon ko kafi faida pohanchta hai.
aam kharish ki surat mein 1 hisa tamator ka rus aur do hise narial ka tail achi tarha mila kar jism per malish karain aur phir garam pani se gusal kar lain kharish khatam ho jaye gi.
Jin logon ko shugar ki bemari ho in ke liye bhi tamater mufeed hai. Kyoun ke is mein mojood tarshi jism mein shakar ki mikdar ko tanasab mein rakhne mein madad deti hai.
TAMATER KE ISTEMAL MEIN DARJ ZAIL AHTEYATAIN LAZMI HAN:
1: Khanci ke mareez kacha tamator na khain.
2: Jism mein kahin sujan ho ya pathon mein dard ho tu tamator ka rus istemal na karain.
3: Gurday masane ki patheri ke marez bhi tamator istemal na karain.
4: Khasosi khayal rakha jaye ke tamator khane ke bad ya tamator juice pene ke bad pani har giz na piyeen.
Post a Comment