Sunday, 27 March 2016
Carrot Benefits For Eyes In Urdu,Gajar Khane Ke Kya Fayde Han.
Posted by Royals Mag on 05:18 in Health Tips | Comments : 0
Agar aap ke waldeen yeh kehte the ke gajar khaya karoo is se nazar teez ho gi.Tu woh theek hi kehte the. Is liye ke ak taza tareen tehqueeq bhi is ki taieed karti hai. Lanst global health mein shaya shuda ak report mein researchers nwe kaha hai ke sabziyoun ko naag bakhshane wale rangdar made jisay kerotinoiderz kehte han ke wo umer se matalik nazar ki kharabi se mehfooz rakhne mein kirdar ada karte han. In pigments ya rangdar made ke sabab hi gajar humain naranji, palakaur shimla mirach mukhtalif rangoon mein nazar ati hai. Bazurg afrad mein nazar ki kharabi bohat aam hai. Aur bari teezi se in logo ki tadad mein azafa ho raha hai. Jo AMD kw mareez han. Jaiza report ke mutabiq 2020 tak 19 karoor 60 lakh yeh maraz jheel rahe honge. aur 2040 taak yeh tadad 25 karoor 80 lakh taak pohanch jaye gi. Haerwerd university ki kayadat mein ki jane wali is tehqeeq mein ak abadi ke survay ke mutabiq deta istemal kiya gaya tha. Jis mein 50 saal se zayada umer ke 1 lakh se zaid afrad ki25 saal tak nigrani ki gai the, Jaize mein dekha gaya ke jin logon ne kerotenoidez lutein aur zeaxxnthin ki sab sse zayada mikdar istemal ki the. Is mein AMD ki advanced sorat mein mubtala hone ka 40 fisad kaam khatra tha. Wazeya rahe ke lotean aur ze agzanthen perda chasham ke sab se aham hisay macula mein sab se zaada paye jate han. Jahan inhain mecular pigment kehte han. Ankh ke parday per mojood yeh rangdar mada khulyat ko fori redicles se pohanchnay wale nuksanat se mehfooz rakhta hai. aur ankhon ko nuksan pohanchane wali neli roshni se bhi bachata hai. Lotean aur ze agzanthen ke hasool ke aham zaraye gajar ke ilawa gehre gehre patoon wali sabziyan aur ande han. Jaize mein yeh bhi dekha gaya keh jin logon ne keri tinoidz ki degar iqsam bhi zayada mikdar mein istemal ki then, in mein bhi addvanced AMD ka khatra 25 se 35 fisad kaam tha. Gajar aur shakaqand alfa aur beta cerotean ke hasool ka aham zariya han. jub ke beta carepyo agzanten santare aur aroo jese phaloon mein zayada hota hai.Jaize se yeh bi pata chalta hai ke agar koi shaks amd mein mubtala ho bhi jaye tu tu bhi keritionds is ke bigarne ki raftar sust kar dete han. AMD ki taqleef mein agarcha ankhon mein koi dard mehsoos nahi hota. Lekin is mein wasti hise ki basarat zail hone lagti ha. Aur amooman is kharabi se dono ankhain kharab hone lagti han. Mahereen ke mutabiq amooman basarat batadrej kam hoti jati hai. Aur is mein waqat lagta hai. Lekin baaz ukat is mein teezi bhi dekhi jati hai. Is kharabi ke bais pharhna dushwar ho jata hai. Rang pheke nazar ate han. Aur chehra dekh kar logon ko pehchanne mein dushwari hoti ha. Filhal is ka koi mukamal ilaj mojood nahi hai. Tahum AMD mein atraf ki nazar mutasar nahi hoti jis ka matlab yeh hai ke mareez mukamal toor per nabena pa n se mehfooz rehta hai.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
Post a Comment