Anar Ka Juice Benefits In Urdu Anar Ke Fayde In Hindi
Pomegranate Juice Ke Faide: Jaded tahqeq ke mutabik sheren anar jaraseem kash hote han. Is liye tb ke marizoon ke liye mufeed hoe han. Aj kal anar ki achi iqsam turki,afganistan,pakistan,shaam,marakash, aur spain mein paida ki jati han. Aam anaron mein na kable khurak hise 27 se 49 fesad ke darmiyan aur juice 57 fisad se 71 fesad ke darmiyan paya jata hai. Ak so garam anar mein kimiyai ajza ka tanasab yeh ha proteain, carbohidrates 11.6 fesad, calories 48 fesad, sodium 1.1 fesad, magnasium 3.1, fats i.5 fisad, coper 7 fesad, fasforas 7.5 fesad, selfer 4.2 fesad, aur cloride 54.5 fesad, hote han. Is kimiyai tajziye ki tosi paish karte waqat doctro khalid ghaznavi likhte han. In tajarboo se do aham batain samne ati han. Ke anar mein sodium ki mikdar bohat kaam aur potacium zayada hai. Jis ka aham faida yeh hai ke dil aur gurdoon ki bemariyoun mein anar diya ja sakta hai.
Anar Ke Juice Ke Faide: Dosri aham baat yeh hai ke is mein mithas ki aisi kisam mojood nai jo sugar ke marizon ke liye muzar ho. Is liye shugar ke marez khule dil se anar ka juice pe sakte han. Is mein chiknai na hone ke barabar hai. Is liye anar khane se dil ki naliyoun ko nuksan pohnchay ga na cholesterol mein azafa ho ga. Aur yeh wazan kam karne ke liye mufeed hai. Anar ke chilke mein karam kash anser zayada mikdar mein hone ke bais pait ke keroon ki tamam iksam ke liye moser daya ka kaam karta hai. Yarkan ke mareez anar ke dano ka ak chatank rus le kar lohe ke saaf bartan rakh dain. Subha thori si misri mila kar pee lian khuch hi dino mein yarkan khatam ho jaye ga.
Jub mareez ko kamzori ke sathhar waqat payas lagti hai tu anar ka juice behtareen alaj hai. Bukhar ki halat mein anar ka juice chilkon samet shehad mein mila kar nehar mon pena behad mufeed hai. Mareez ke liye anar ka juice akseer hai. Mon ke andar ki khushki aur bar bar payas lagne ki shakayat anar pene se door ho jati ha. Maleria ya bukhar mein anar ka juice mufeed hai. Bawaseer ke mareez ko adrak aur long barek pees kar anar ke juice mein mila kar pilane se marz se nijat mil jati hai. Hazam ki darustagi ke liye anar ka dana 5 tolay, sonth, safeed zeera, sayah namak, ak ak tola le ke kot kar safof bana kar dupehar aur raat ko khane ke baad 6,6 mashay istemal karain. Batoor meya anar ba kasrat istemal hone waa phal hai. Anar ka rus pene se chehre ki rangat surakh gulab ki mand ho jati hai. Aur jismani aza mein bhi tawanai ajati hai.
Post a Comment