Royals Mag

Friday, 18 December 2015

Blood Pressure Kam Karne Ke Tarika Urdu Blood Pressure Control Karne Ka Totka Tips Hinde Mein

Blood Pressure Kam Karne Ke Tarika Urdu: Chand Ahtiyati Tadabeerain Jadeed tahkeek ke mutabik wo log jo apni khurak mein potasium ( maslan kela doodh balai ke bagair) ka zayada istemal karte han un ko blood pressure ke irze mein mubtala hone ka khadsha kaam hota hai.motapa aur sodium ka zayada istemal blood pressure ki zayada wajohat mein se ak hai.mamolat mein bakaida warzish ka azafa wazan ko kam karta hai, blood pressure aur aur dil ke marz se door rakhta hai. mandarja zail ka istemal kaam se kaam karain kyoun ke in mein sodium ki mikdar kam hoti hai.
1. pizza ....... khaya wo kisi bhi company ya dukan ka ho
2. safeed dabal roti
3. makhan bakery wala
4. pake huye chawal
5. Chips, snaks, ya salanti wagera
sigrate noshi tarak kar dain hamesha ke liye kyoun ke sigrate mein mojood nigotain aur degar kimiwai mayad aap ki sharyano ko tang karta hai aur dil ko khon naliyoun mein pohanchane ke liye zayada mehnat karna parti hai. jis se wakti toor per blood pressure mein azafa ho jata hai. Sigtate mein moojood nigotan Epinephrine nami harmon ke akhraj ko mutharak karta hai Epinephrine dil ki raftar ko barhata hai, khon ki naliyoun ko tang karta hai. Is ke blood pressure mein azafa hota hai, aur dil zayada mehnat karta hai.akhir kar ak waqat aisa aata hai jub dil ki sharyanain tang honashuro ho jati han aur dil nakara hone lagta hai. Us waqat koi bhi reverse gair mojood nahi hota aur mareez ko ta umer dawaiyoun per zinda rehna parta hai. Lehaza sigrate chorain Phal, Sabziyan kachi kain, behtar lifestyle apnain aur apni life ko enjoy karain.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles