Royals Mag

Friday, 18 December 2015

Reshma History In Urdu Reshma Singer Biography Information Gulukara Reshma Ki Kahani

Reshma History In Urdu Reshma Singer Biography: Sehra ki pehchan makamal sanata aur khamoshi hoti ha.aisi jaga jahan khuch sunai nahi deta ko sehra se mansob kiya gaya ha.isi sehra mein peda hone wali reshma ki awaz ne rajastan se safar karte karte duniya bhar mein apni pehchan banai.lok mosiqui ki duniya meinbulbul sehra ka khatab pane wali reshma ki judai ko do baras beet chuke han.aur yeh bari lambi judai ha jis ka izhar reshma ne apne geet lambi judai mein barsoon pahle kar diya th.Reshma 1948 mein rajastan ke alaka bekaneez ke kareebe gaooon mein peda huye thenn.in ka naam pathani begum rakha gaya.in ke khandan ka taluk khana badosh banjaroon se tha.Reshma ne jub hosh sambhala tu apne andar uthne wali awazoon ke azhar ke liye sufiwaye karam ke mazaroon per gana shuru kar diya.aise hi ak moke par wo hazrat lal shabaz kalander ke mazar par nazrana akidat paish kar rahi then ke in ki maqboliyat ki ghari aa pohnchi.jayah inhain lahore radio Pakistan lahore lakar audition liya gaya.reshma ne pehli bar 'lal meri pat rakhiyou'ga ka carier ki ibteda ki.

In ki munfarid awaz aur gan ki pukhdagi ne samayeen ko apni taaraf matwaja kar liya.In ki shohrat ki waja se sofiyana shyre ko lafzoon se zayada apni rooh mein sama kar gane ka andaz tha jis ki waja se in ki awaz resham aur wo khud reshma ban gain.isi doran mashor mosekar manzoor jhala ke geet we mein chori chorila laiya akhiyan we ne in ki shuhrat mein mazeed azafa kiya.inhon ne apne gaiki ke safar mein beshumar geet gaye jin mein se aksar makbol huye.in mein se haye aur nai lagda dil mera ,sun charkhe di mithi mithi koook way,akhiyan nu rain de akhiyan de kool kool,mahi ve na jayee pardes,meri hamjiliyan wagera shamil han.in ke kai geet bollywood filmo ka bhi hisa bane the hadaitkar subhash gai ki film jannat main char dina da pyar aoye raba bari lambi judai. Jub ke gulukara lata  mangashkar ne film saz wa hadaitkar raj kapoor ki fil boby mein in ka geet akhiyoun ko rahne de akhiyoun ke as paas,apni awaaz mein record karwaya tha.reshma ko parosi mulk bharat mein bhi bohat pasand kiya jata tha.inhon ne hamesha dora bharat ke duran hamesha aman aur muhabbat ka pegaam diya.sabak bharti wazeere azam indhra gandi,dalep kumar,amitabh bachan,lata mangashkar,asha bhosle wagera ne hamesha inhain izat aur mukam diya.

Pakistan mein bhi kisi gulukara ke sath in ki khabho profasional rakabat dakhai nahi di.suraiya khanam,taranam naaz,abda parween,naheed akhtar,mehnaz,shaziya khusak,noor jahan,runa lela sub ne hi in ke basalahiyat hone ka ateraf kiya.aur mosiqui ki duniya mein inhai fook ki malka bhi kaha gaya.hakumate Pakistan ki taraf se inhain duniya bhar mein sakafti safeer ke toor par namayan khidmat ke ateraf mein tamga baraye husan karkardagi aur satara imteyaz diya gaya

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles