Royals Mag

Friday, 18 December 2015

Chicken Biryani Banane Ka Tarika Chicken Biryani Recipe In Urdu How To Make Biryani Hindi Vidhi

Chicken Biryani Recipe In Urdu - Chicken Biryani Banane Ka Tarika

Biryani Banane Ki Vidhi Hindi Mein Aik lajawab dish jisay puri dunya mein pasand kiya jata hai aur har umar ke log isay shoq se khatay hai aksar log puchte hain ke aap ke favourite dish kon si hai is ke jawab mein zayadatar logon ka jawab biryani  ata hai jee haan Biryani banane ki recipe lay kar aaj royals mag ki team ayi hai isay jhat pat chicken biryani ka naam diya gaya hai ye intihai lazeez hai jo log spicy khanay shoq se khatay hain woh apni marzi ke mutabiq masalon ki tadad mein izafa kar saktay hain aaeye sekhtay hain ke ye biryani banti kaise hai.

Biryani Banane Ki Tarkeeb
Ajza

Chicken                                     bagair hadi 4 bari botiyan
Haldi powder                             1 chay ka chamcha
Curry powder                            1 chay ka chamcha
Oil                                             1 chay ka chamcha
Makhan                                     1 chaye ka chamach
Onion                                        1 adad
Dahi                                           1 pao
Basmati rice                               1 cup
Salt (Namak)                               hasbe zaiqa
Chote aloo                                   10 adad
pani (water)                                  hasbe zarorat
Tali hu Payaz aur hara dhaniya   sajawat ke liye

Method

Chawal boil kar ke nithar lain. Aloowo ko boil kar ke 2, 2 tukron mein kaat lain. Payaz ko mazeed kat lain aur chicken ki botiyoun ko bhi chotay chotay tukroon mein kat lain. Ab chicken mein curry powder aur haldi powder milain. Phir ak bare aur bhari pende ke pain mein oil aur makhan piglain. Is mein kati hui payaz fry karain, yahan tak ke payaz brown ho jaye. Ab is mein dahi, uble huye aloo aur hasbe zarorat namak shamil kar ke halka sa bhonai. Phir uble huye chawal shamil karain. Ab hasbe zarorat pani ka chenta lagain. Aur dhanmp kar 10 min ke liye dum per rakh dain. Biryani dum per ajaye tu isay dish mein nikalain. aur tali hui payaz aur hare dhaniy se garnish kar ke paish kain.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles