How To Make Moisturizer Cream In Urdu Skin moisturizer banane ke liye aap ko sirf do chezon ki zarorat hai. Ak hai narial ka tain aur vitamin E ke capsol. Witamin E mein anti ocsident hota hai. Jo jild ki hifazat karta hai. Yeh jild ke khuliyoun ko mahol ke aloda asrat se mehfoz rakhne mein aham kirdar ada karta hai. Vitamin E ko bohat si mosturizer banane wali companiya istemal karti han. Aur yeh kai skin products mein lazmi juz ke toor per istemal kiya jata hai. Isi tarhan coconet oil narial ka tail bhi skin care masnoyat ka lazmi joz hai. Yeh anti aging creams mein lazmi tor per istemal kiya jata hai. Kyoun ke yeh chehre per mojood juhriyoun ko mitane mein mofeed sabat huya hai.
1. Method:
Kisi bhi cream ke khali jaar ko dho kar alag kar lain. Ab kisi bi khali jar mein coconut oil aur 4 se 5 vitamin E ke capsol dal kar isay achi tarhan mix kar lain. Jub vitamin E ke capsol achi tarhan mix ho jain tu isay fridge mein rakh dain. jub wo jam jaye tu isay jaar mein dal lain. Ab isay fridge mein rakhne ki zarorat nahi. Jar mein nikalne ke baad isay sardi mein bakaidgi se mosturizing cream ke toor per lagain. Aur jild ko khusak hone se bachain.
2.Skin Moisturizer:
Homemade moisturizing cream banane ki dosri tarqeeb bhi intehai asan hai. Is ke liye aap ko siraf 3 ashiya ki zarorat ho gi.
1. Adha cup coconut oil
2. 1 teaspoon vitamin E lequid
3. 5 se 7 katre tea tree oil ya levender oil ke
2. Method 2
bowl mein coconut oil,vitamin E, aur tea tree oil ke katre achi tarhan mix kar lain. Agar sakhat sardiyon ke darmiyan bana rahi han tu phir coconut oil jama huya ho ga tu isay fori kisi dabi ya jaar mein band kar lain. Agar coconut oil lequid ha tu phir pehli tarqeeb ki tarhan isay sab cheezon ko mix karne ke bad fridge mein rakh kar jama dain. Cream tayar hai.
Friday, 18 December 2015
How To Make Moisturizer Cream In Urdu At Home Moisturizer For Dry Skin
Posted by Royals Mag on 03:28 in Beauty Tips How To | Comments : 0
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
Post a Comment