Day Makeup Tips In Urdu
Makeup Karne Ka Tarika In Hindi: Din ke waqat agar kahin jana ho tu make up karte waqat aap ko zara ahteyat se kaam lena parta hai. Is baat se aap yaqeenan itefaq karain ge ke raat ki kisi taqreeb ke liye kiya jane wala make up din ke make up ke muqable mein qadre zayada asan hota hai. Lekin agar manasab make up products ka istemal kiya jaye aur chand batoon ka khayal rakha jaye tu din ke waqat bhi bohat acha make up kiya ja sakta hai. Aaye dekhte han ke din ke waqat agar aap ko doston ke sath bahir lench per jana ho tu aap kis tarhan apna make up karain ge. Make up ke in tareeqo per amal karne se aap kaam se kaam make up mein bhi khobsurat nazar a sakti han. Garmi ke mosam mein aur khasosan din ke waqat kiya jane wala make up halka aur netural hona chahiye. Is ke liye aap ki skin ka saaf suthra aur fresh nazar ana zarori hai. Take aap ki make up base achi nazar ayee. Lehaza sab se pahle kisi mild face scrub se chahre ko scrub ke bad toner, hidrating syrum, aur phir mosturizer lagain. Is ke bad ispench ki madad se liquide foundation lagain. Take aap ki jild be daag aur shabnami si nazar ayee. Ankhon ke nichay brush ki madad se light weight cramy concelr istemal karain take inkhon ke niichay dikhai dene wale halke chup jain aur aap ki ankhain bari nazar ayeen. Eye make up shuru karne se pehle eye primer lagain take aap ka eye make up ta deer kaim rah sake.
Is ke baad brush ki madad se eye sheer shimre eye shade lagain. Isay achi tarhan blend karne ke bad palkon per maskaroon ke do kots lagain. Uper wali palko ke sath michay wali palkon par bhi maskara lagana na bholain. Phir palkon per eye bro pencil lagain. Rukhsaroon ke ubhar per pink blesh lagain aur phir halka sa chamakdar powder uper lagain. Aap ki is make up look mein honton ke make up aur lipstick ke shade koo namayan hesiyat hasil hai. Lehaza barbie girl jaisi is look ke liye lipstick ki intehai bright pink shade muntakhib karain. Albata apni skin ton yani rangat ki manasbat se aap is mein thori bohat tabdeli kar sakti han. Sab se pehle honton pe lip bam lagain take wo naram o malaim ho jain. Lip bam lagane ke bad chand min ka waqfa dain phir honton ko tishu paper ki madad se thapthapain
Ab bright pink lip pencil se hintion ki outline banain phir isi shade ka mat lip colour lagain brush ki madad se honton pe lagain. Is ke bad lp pencil ki madad se outline ko phir lip pencil ki madad se finishing touch dain. Lejiye ab aap ka make up mukamal hai. Lehaza ab aap balon ki taraf tawaja de sakti han. Lekin balon ko sanwarne ke lie zayada tarado mei parhne ki zarorat nahi hai. Balon ko bruush karain, side ki mang nikalain, aur inhain khula chor dain. Aap ki tayari mukamal ho gai. So ab aab bila takher doston ke sath lench per rawana ho sakti han.
Post a Comment