How To Make Twist Hairstyle In Urdu
Hairstyle Banane Ka Tarika In Urdu: Ye Sada aur asan Hair style in dino larkiyoun mein khasa makbol nazar ata ha. twist and pin style is ki sab se bari khobi ye hai ke yeh hair style banane mein app ko mahaz 2 min darkar honge aur is ko apnane ke bad ap ki look shartiya toor par glamrous nazar aye gi.taham aj kal school jane wali larkiyan bhi yehi hair style apnaye huye han kyoun ke is ki khobi ye hai ke is ko jis andaz ke out fit aur jis huliye par apnaya jaye yeh isi ka hisa dikhai deta hai.ayeeye dekhte han ke twist and pin hairstyle kese banaya jata hai.
Methode
App ne balon ko shampo karne ke bad is ko state kiya ho ya halka sa curl kiya ho dono sorto mein ye hairstyle acha lage ga.Ab se pahle baloon mein apni pasand ke matabik seedhi ya side mang nikalain.Is ke bad front se baloon ka ak chota sa hisa lain jo andazan aak inch ke barabar ho.Ab isay bal dete huye chahre se door le jain.Agar aap ke bal patle aur chote han tu inhain khob kaas ke twist dain aur Phir is ke uper halka sa hair spray karain takee bal apni jaga jame rahain.Is ke baad style ko set karne ke liye ak boby pin lagai ye pin is mukam par lagain jahan balon ko bal dene ke nateje mein ak takoni si shakal nazar ayee.phir ak aur pin is tarhan lagain ke ye pehli pin ko cross karti nazar ayee.aur angrazy x ka shape ban jaye.in pins ko chupane ki zarorat nahi kyoun ke ye behar hal hair accesories mein shumar ki jati han.Aur is style mein nigahon ko bhali maloom hoti ha.Lejiye ap ka jhat pat twist and pin hairstyle tayar hai.agar ap baal khule na rakhne chahain tu is ki dheli si poni tail ye choti bana sakti han.school jane wali bachiyan bhi yehi karti han.is ke ilawa yeh twist and pin hairstyle dono atraf mein bh
i banaya ja sakta hai.so yeh app ki pasand ar manhasar hai.
Post a Comment