Bill Gates History In Urdu: Bill Gates kahte han ke kamiyabi ka rasta bohat mushkil aur kathin hota ha.kamiyabi ke safar mein ap ko mushkilain,pareshaniya,dikatain bardast karni parti han.lakin akhir mein hare bhare baag inhi ko milay han jo sachi lagan se mehnat karte han.Aur tamam tar mushkilat ke bawajood apna rasta banate han.apni kamiyabi ka raaz wo 10 sunhari asolon mein batate han aur kahte han zindagi mein tamam tar kamiyabi aur tajarbay ka nacur yeh 10 asol hain.
ZINDAGI: Bill Gates Life Biography In Hindi
Zindagi asan nahi ha koi bhi shaks khush kismat aur perfect peda nahi hota.lakin apni zindagi badalne ka ikteyar khuda ne insan ko diya hai.kamiyabi aur nakami,dolat aur shohrat izat aur zilat insan ke apne hath mein ha.yaad rahe app ki zindag ka stairing app ke apne hath mein hai.
KAMYABI: Bill Gates Success Story:
Yeh duniya khabhi kisi ka sath nahi deti.duniya ka is se koi taluk nahi ke app kon han.kahan se ayee han,app kya karna chahte han.han agar aap kamiyab ho jate han tu sari duniya app ke sath ha.kamiyabi app ke haalat,rawaiye aur khud atemadi ko badal kar rakh de ge.
MEHNAT: Hard Work
kamiyabi khabhi asani se hasil nahi hoti.aap ko is ki quimat ada karni parthti hai.aur is ki quimat mehnat hai is liye yeh sochna band kar dain ke kamiyabi asani se aap ki jholi mein gire gi.mehnat ke nagair kamiyabi ko bhol jana behtar hai.
ATTITUDE:
aap samajhte han ke school mein teacher bohat sakhat the,job mein boss bohat guse wale han,business mein clients bohat mushkil hanmasla in sab logon ke sath nahi asal bat app ke attitude ki ha,zindagi, halat aur logon ek bare mein apne attitude ko tabdel kijiye zindagi mein kamiyabi aur nakami ka bara inhesar aap ke attitude par hota hai.
AHMIYAT: Importance
har choti aur bari cheez ki ahmiyat hoti hai.khabhi mat sociye ke app ki job ya business chota hai yaad rakhiye ke choti job aur chota business ak din achi job aur bare business mein tabdel hote han.
MISTAKES:
Ghaltiyon se seekhiye is dunya mein koi perfect nahin hai aur har koi galtiyan karta hai aham ye hai ke app apni galtiyoun se kitna sikhte han.galtiyan zaror kijiye par in se zaror sikiye aur inhain khabhi mat dohraiye ,isi tarhan app apne app ko behtar bana sakte han.
INHESAR:
Zindagi mein bohat sare faisale aur kaam aap ko khud karna parhte han,dosray logon par inhesar mat karain,aur apne tamam faislay faislay aur kaam khud karain,agar app har faislay aur kaam par dosray logon par inhesar karain ge tu zindagi mein ak stage par har failay aur kaam ke liy kisi na kisi ke muhtaj zaror honge aur yehi cheez app ki taraki mein bohat bari rukawat ban jaye gi.
CHANCE:
aap ke pass siraf ak chance hota hai,hamari zindagi mein bohat sari cheeezain aisi hoti han jo siraf ak bar hoti han aur aap ko woh chance lena chahiye.
WAQT:
waqt ki kadar karain hamare pass ak din mein 24 ghante aur ak saal mein 365 din hote han ,aap ko inhain bohat soch samaj kar istemal karna chahiye,aap apne waqat ko kis tarhan istemal karte han yehi cheez aap ki kamiyabi aur nakami ka faisla karti hai.
Haqeeqat:
Hamesha zameeni haqaiq ko mad-e-nazar rakhiye jo khuch app tv aur filmo mein dekhte han wo sab masnoi ha,asal zindagi mein aap ko bahir nikalna parhta hai aur nataij lane parte hain.
Saturday, 7 November 2015
Bill Gates History Hindi Bill Gates Ki Kahani Urdu Bill Gates Quotes Advice To Students Net Worth
Posted by Royals Mag on 23:05 in History | Comments : 0
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
Post a Comment