Kalash Valley History In Urdu Kalash Culture
Kalash Valley Ki Kahani: Kpk Ke Zile chatral ki union council ayoun ke bae hath pheli wadi se uper ko jata tota phota rasta wadiye kalash ko jata hai.Intehai khatarnak rasta lakriyoun ke totay huye gair mehfoz pul aur land sliding se taba hal raste ko 20 kilo miter ke bad wadi kalash mein dakhil hota hai.yeh wadi kum az kam 5 kilo miter rakbe pe phela huya hai.wadi kalash mein 2 bare alake bamboriyat aur rambur han.in ke mutalik mashor ha ke yeh sakandre azam se pahle yahan abad the aur is kabile ko bani kalasha ne afghanistan ja kar sakandre azam ka iftetah kiya tha.sakandre azam koi 2 hazar 5 so sal pahle yahan se guzra tha.wadi kalash ki kul abadi lag bhag 9 hazar ho gi.wadi kalash mein islam teezi se phel raha ha.wadi kalash ki apni munfarid rawayat mein jo ahista ahista khatam ho rahi hawadi kalash mein kalasha kabile ki auratain khubsurat labas jis pe moti aur gote ka kaam kiya huya hota tha wo pehnti han.wadiye kalash ke khuch rawaj intehai heran kun han.
Kalash Kabail Ki Shadi:
Kalash kabail mein shadi ka rawaj intihai dilchasp hai salana meelay ke moqay par amooman tamam larke aur larkiyan ikathay nachtay hain aur jo aik dusre ko pasand kar leta ha in ki shadi ka di jati ha. aur is feesle ko har koi maan le ta hai. Agar koi gair kalash yahan shadi karna chahe tu larkiyan asani se islam kabol kar leti han.aur shadi ke liye razi ho jati han.
Kalash Mein Akhri Rasumat:
Kalash mein moot ki rasam bhi munfarid hoti hai kisi bhi kalash ki moot ke bad 2 din tak mayat abadat khana mein rakh kar nachte han jis ka maksad lawahiqeen ko tasali dena hota ha.is ke bad ak lakri ke dabe mein dal kar dafan kar diya jata hai.is se kabal zewrat ke sath khuli jaga par rakh diya jata tha jise jangli janwar aur parinde kha jate the lekin bad mein jub lashon se zewrat churane ke wakeyat aam huye tu dafnana shuru kar diya yahan lakri ke ghar banaye jate han aur amoman kalash ghar ki char deewari nahi banate yahan school,masji,mesuium,abadat khana, library wagera han.jabke fon ki sahulat bhi moojud hai.
Post a Comment