Kyoun keh yeh din waja wajood kainaat ke alam duniya mein zahoor ka din hai.12 rabi ul awal ka din siraf tareekh insani ka hi nahi puri kainate alam ka wo azeem tareen din hai jis ke intezar mein gardish shame o sehar ne mah o saal ki lakhon gardishain badli then. Is din fizaye alam musaraton ke dil angeez nagmon se goonj uthi aur is subah noor ke pakeza ujale ne shamas o kamar ko roshani aur sitaron ko zofshani bakhshi. Is din ki subah inqelab ki asar afreni ne tareekh ka rukh moor diya woh tareekh jis ka warq warq insani dusmani ki gawahi de raha tha wo tareekh jis ka daman zulam e barbariyat se tar tha wo tareekh jis mein kasro kasra ka jabro istabdad logon ka muqadar ban chuka tha.
Lakin woh din jis ke liye qudrat ne shawoor insani ko tamam irtakai manazil se guzar kar balogat ke is mukam per pohancha diya tha jahan isay hadayat o rahnamai ke liye Peghambar SAWW jesi Azeem Hasti ki shidat se zarorat thi. 12 rabi ul awal ka din toheed e bari tala ki parcham kushai aur zulm o sitam mein jakri hui akwam aur sisakti hui insaniyat ki rahai ka din hai yeh din sadaqaton ki rahai ka ameen aur sayadatoon ka payamber hai. Is din talo hone wale suraj ki roshani ne insaniyat ko afrat e tafreet ki daldal se nikal kar tawazan o atedal ki rah per gamzan kar diya. Is din ne tamam nasli,lasani,tabkati aur jugrafiyai buton ko toor kar safa hasti per aik aise nazam ko janam diya jis ne ro e zameen per aman o mohabbat ,ittehad ki fiza qaim kar ke tamam jhote batal imteyazat ka khatima kar diya aur bhatki hui makhlooq ko Khalik Haqeeqi ki dehleez per la kar sajda raiz kar diya.
Post a Comment