Royals Mag

Thursday, 10 December 2015

Gwadar Port Importance In Urdu Gwadar History Gwadar Ki Tareekh

Gwadar Port Importance In Urdu Gwadar History: 8 september 1958 ko gawadar pakistan ka hisa ban gaya.tarekh ke matale se pata chalta hai ke is shehar par partagiziyoun ka kabza tha.satarwe sadi ke awal mein is shehar par gachki balochon ka kabza huya.1736 mein inhon ne gawadar ko iran ke nadar shaw ke hawale kar diya.teen saal bad phir gachki kabila barsare iktedar agaya.magar 1778 mein khan off kalat ne gawadar per kabza kar liya.1784 mein maskat ke shehzade sayad sultan ne apne baap se bagawat kar ke jub makran mein panah hasil ki tu khan off kalat nasir khan awal ne in ki bai kahtir madarat ki aur in ki mehmani ke toor par gawadar ka alaka in ke hawale kar diya.

1792 mein syed sultan maskat aur oman ke sultan ban gaye magar inhon ne gawadar ko apni amaldari mein shamil rakha.halanke ab woh gawadar ki amdani ke muhtaj na the.angarezoon ne jub kalat par kabza kiya tu yeh soratehal badastoor kaim rahi aur 1947 mein kayame pakistan ke waqat bhi gawadar saltanat oman ka hisa tha.pakistan ne apne kayam ke foran bad gawadar ki bazyabi ke liye awaz uthai.1949 mein is masle ke hal ke liye muzakrat bhi huye jo kisi fasale ke bagair khatam huye.

1956 mein jub feroz khan non pakistan ke wazere kharja bane tu inhon ne is silsale mein yeh kanoni nukta uthaya ke gawadar ki hesiyat ak jageer ki hai.chunke hakomate pakistan ne wo tamam jagireen mansookh kar di han jo hakomate bartaniya ne bohat se logon ko apni khidmat ke sile mein ya dosaray sayasi asbab ki bina per de then.is liye gawadar ki tareekh ki tanseekh bhi ki ja sakti hai.bartanyi hakam ne pakistan ke is mokaf ki tayeed ki aur in ki madad ke bais moifza adaigi ke bad gawadar ka alaka 8 september 1958 ko pakistan ka hisa ban gaya aur aga abdul hameed ne sadre pakistan ke namainda ki hesiyat se gawadar aur is ke nawahi alako ka nazmo nisak sambhal liya.yakam july 1970 ko 1 younat ke khatime ke bad gawadar ka shehar suba balochastan mein shamil huya aur zila makran ka hisa ban gaya lakin is shehar ki tajarti aur sahili ahmiyat ke bais jald hi isay zila makran ka hisa bana diya gaya.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles