Royals Mag

Thursday, 10 December 2015

Importance of Badshahi Masjid In Urdu Essay Badshahi Masjid Paragraph Aur Tameer Kab Hoi

Importance of Badshahi Masjid In Urdu Essay

Badshahi Masjid ya Badshahi Mosque 1673 mein Aurangzeb Alamgir ne Lahore mein banwai. Ye azeem masjid mughlon ke dor ki aik shandar misal hai aur Lahore shehar ki shanakht ban chuki hai. Ye Faisal masjid Islamabad ke baad pure Pakistan ki dusri bari masjid hai jis mein 60 hazar namazi aik time mein namaz parh sakte hain. Is masjid ka andaz tameer jamia masjid dehli se bohat milta hai jo keh Aurangzeb ke walid Shah Jahan ne 1648 mein tameer karwai thi.

Fehrist
  1. Tareekh Aur Ahmiyat
  2. Muramat
  3. Khas Waqiat
1: Tarikh Aur Ahmiyat (Importance)
Hindustan ke chatay mughal badshah Aurangzeb Alamgir tamam mughlon mein se sub se zayada mazhabi badshah thay. Unhon ne is masjid ko apne sotayle bhai Muzafar Hussain ki zair-e-nagrani tameer karwaya. 1671 se lekar 1673 tak masjid ki tameer ko 2 saal lage. Masjid ko shahi qila ke bar aks tameer kiya gaya jis se is ki mughliya dor mein ahmiyat ka pata lagta hai. Is masjid ke banne ke sath hi sath Aurangzeb ne is ke darwaze ke bar aks shahi qila mein bhi aik ba waqar darwaze ka izafa kiya jis ko Alamgiri darwaza kaha jata hai.
2: Muramat - Construction:
Jese jese waqt barhta raha masjid ki muramat bhi hoti rahi 1850 se is ki muramat ka aghaz hua lekin ye muramat na mumukamal thien. Akhir kar mukamal muramat 1939 mein shuru hoi aur 1960 mein mukamal ki gayi jin par 48 lack rupay sarf hue. Is muramat ki wajah se masjid aik baar phir apni asli halat mein wapas aa gayi.
Khas Waqiat:
22 february 1974 ko Lahore mein munaqad dusri Islami sarbarahi conference ke moqa par 39 sarbarahan-e-mumlikat ne juma ki namaz is masjid mein ada karne ki sa'adat hasil ki.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles