Royals Mag

Thursday, 10 December 2015

Meri Saheli Essay In Urdu Meri Pyari Saheli Essay In Hindi Saheliyan

Meri Saheli Essay In Urdu Meri Pyari Saheli Essay In Hindi: Har ak ki zindagi mein kam az kam ak dost ya saheli aisi zaror hoti ha jo balaye jan ki tarhan aap par musalat rehti ha.aisi saheli aap ke dukh sukh bantne ki bajaye app ke masail aur pareshaniyoun mein azafe ka sabab banti ha.lakin haqueqat ye hoti ha ke in naam nehad saheliyoun se jan shurana mushkil hota ha.jo dost nama dushman ki tareef par pura utarti han.is tarhan ki saheliyan musalsal sar dard ka sabab banti han.kyoun ke yeh na siraf dosron par tankeed karne aur khamiyan nikalne ki aadi hoti han balke aap ko bhi bila zarorat apne qemti mashwaroon se nawazti rehti han.ke aap ko kya karna chahiye aur kya nahi.zayaada mushkil is sorat mein nazar ati ha ke agar app wazedari nibhane ki kail hon aur marayat mein in ki batain bardasht karti rahain.aise mein in ka hosla bharta chaala jata ha aur in ki garift aap par mazboot hoti chali jati ha.aap ka ikhlak apni jaga lakin sawal ye paida hota ha ke aap aisi muzar sehat doston ko kyoun bardash karain jo mustakil tenshion se app ke asab par nazil hon.hum mein se koi bhi is kisam ke masail se dochar ho sakta hai.balke ak se zaid bar  bhi aisi suratehal paida ho sakti hai.tu kya is se yeh sabit hota hai ke hum mein itni ikhlaki jurat nahi ke apni behtari ke liye koi faisala le sakain.ya masail ko talte rehna hamari adadt ban chuki ha.is bare mein ak mahire nafsiyat ka kehna hai ke hamare mashire mein in logon ko achi nazar se nahi dekha jata do dosti ka rishta toor dain.is liye log ye kadam uthate huye jhijakte han.yeh haquiqat hai ke dosti ka rishta bara qeemti hota ha,jis ki azmat par shyer aur musanifon ne bohat khuch likha hai lakin mushkil ye hai ke hamare han aise doston aur saheliyoun ke liye koi teh shuda asool mojood nahi. jo rahat jan ki bajaye dushman jaan ki tareef per pura utarti han.app ke liye pareshani ka sabab bani rahi.taham aksar aisa hota ha ke app in takleef de saheliyoun ko ibteda mein pehchan nahi patin ke in ke gun rafta rafta hi khulte han.lakin agar aap ko dosti ki ibteda mein hi khuc batoon ka pata chal jaye tu behtar yehi hai ke khamoshi se in saheliyoun se kanara kash ho jain.yahan aap ki madad ke liye balaye jaan aur takleef da saheliyoun ki khuch adat aur khuch nishaniyan moojood han.jin se app in ke tabiyat aur mazaj ka andaza kar sakti han.yeh andaza lagane ke bad app ke liye in ki dosti se dasbardar hona asan rahe ga.

Main Tumhain Batati Hon:
Khuch saheliyoun ki nishaniyan yeh han ke wo app ke kareeb rahne wale logon mein khamiyan nikalti rehti han.in ka pasandeda jumla is tarhan se hota hai ke mein tumhain batati hon ke asal baat kya hai.is ke bad in ki na khatam hone wali kahanyoun aur inkeshafat ka sisala shuru ho jata hai.ke kon shaks darasal kesa hai.yeh kisi se bhi aap ko nazdeek nahi daikh saktin.lehaza dosri saheliyan app se kitni hi mukhlis kyoun na hon yeh un se app ke talukat khatam karwa kar hi dum leti han.

Tumhain Tou Meri Yaad Nahin Aati:
Kisi masrofiyat ke sabab ya kisi aur waja se chand din agar app in se mulakat na kar pain ya fon per in ki khairiyat daryaft na kar pain tu yeh is kadar dilbardashta nazar ati han ke goya aap ne in par zulam ka pahar toor dala ho.aap khaya kitni hi mazrat kyoun na karain aur kitne hi jawaz paish karain .lakin in ke laboon par ak hi shikwa hota hai ke tumhain meri yaad hi nahi aati.yeh ak mein hi hon jo hamesha tumhari fikar mand rehti hon.aisi baton se zahir hai ke app kamukha hi ahsase juram mein giraftar ho jati han.aur sharmindagi mein mubtala ho jati han.

Agar Main Na Hoti Tou:
Ehsan jatana in ka pasandeda mashgila hota hai khaya in ke kisi amal se app ko faide ki bajaye ulta nuksan pohncha ho.lakin yeh bazdar rehti han ke agar yeh falan moe par ap ke sath na hote ya falan waqat aap ki madad na karti tu aap nakabile talafi nuksanat ka shikar hosakti then.phir yeh is kisam ke jumlon se app ko sharminda karti han tum to bhole se bhi mera shukriya ada nahi karti ab aap khaya dil hi dil mein in per eech o taab kha rahi hon lekin zaban se shukriya ada karne per majboor hoti han.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles