Royals Mag

Thursday, 24 March 2016

New Truck Art Paint Khussa Design,Pakistani Traditional Khussa

Reshami Dhagoo, Sheeshoon Aur Makhmali kapre se bane khusee tu sab ne hi pehne aur dekhay honge, lakin ab jasay jasay waqat guzar raha hai, khusay bhi apne rawaiti style se hat kar dosray style mein banaye ja rahe han. Jahan naye fashion, trends kaproon ke style mein tabdeeli late han. Ab yehi naye trends rawaiti chapal, jooton aur chapal mein bhi tabdeeli late nazar arahe han. In dino rawaiti khusoo mein jo ak tabdeeli ayee hai wo yeh hai ke ab in khusoon per dhage, Sheeshon aur resham ka kaam nahi kiya ja raha. balke in per truck art paint kiya jaraha hai,. Hamae han truck aur basoon per mukhtalif colours aur painting brush ki madad se khobsurat naksh o nigar, tasaweer aur khobsurat qudarti manazar banaye ja rahe han. Yeh truck art na sirf pakistan balke duniya bhar mein pakistan ki munfarid shanaksht aur pehchan ka bais bhi hai. Is ki isi infaradiyat ki badoolat ab designers ne isay khusoon par bhi banana shuroo kar diya hai. Khusoon per ane wali is tabdeeli ko khawateen ne behad pasand kiya hai. khasosan collage, university jane wali larkiyan truck art wale khusee khushi khushi pasand kar rahi han. In larkiyoun ka yeh kehna hai ke is khuse ki ak jori kharedne ke bad isay mukhtalif rangoon ke malbosat per ba asani pehan leti han. Kyoun ke in khusoon per jo naksh o nagar banaye jate han, Is ke liye mukhtalif rangoon ka istemal kiya jata hai. Chamre ko mukhtalif rangoon mein rang kar is per naksh o nagari ki jati hai. Jis se varity bharti hai. Aur khawateen ko apne man pasand rang aur style ke khusa kharedne mein madad milti hai. Truck art khusa ko sab se pahlay aak lockal brand ne marcket mein mutarif karwaya tha. I s ke baad khusa banane waly dukandaroon ne bhi isi design aur style ko copy karte huye marcket mein truck art khuse mutarif karwa diye han. Is waqat kisi ak ache lockal brand ke khuse ki ak jori 1800 se 2500 mein mil rahi ha. Jubke woh dukandaar jo khud se khuse banwa rahe han wo isay 800 se 1000 mein bach rahe han. In khusoon ki ak khas baat yeh hai ke iasy college aur univesity ki larkiyan in khusoon ko araam se pehan sakti han. is ke saath sath isay mukhtalif taqreebat mein bhi pehna ja sakta hai. shokh rangoon ki waja se ye dekhne mein bohat hi deeda zeeb lagte han. yehi waja hai ke jo larkiya (pumpies) pahane hi adii the wo ab yeh rawaite khuse shokh se pehan rahi han. Khuse pakistani sayasat ka aak aham hisa samje jate han.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles