Kehte han ak khubsurat muskurahat insan ki khubsurti mein kai gunah azafa kar deti ha. Muskurahat ko dilkash banane mein safeed aur chamakdar dant banyadi kirdar ada karte han. Taham dantoon ki sehat barkarar rakhne ke liye in per khasosi tawaja dene ki zarorat hai. Mahreen ka kehna hai ke logon ki aksiriyat dantoon ko darkar tawaja dene mein kasir rehti hai. Jis ki waja se dantoon ki sehat ke masail janam lete han. Mahereen ne dantoon ne dantoon ki safai ke liye chand aham tajaweez de han. Jin per aamal kar ke dantoon ki sehat ke hawale se paida hone wale masail per kabo paya ja sakta hai.
Chawingum Zayada Deer Chubane Se Perheez :
chawingum khane se mein ka zaiqa waqti toor per khushgawar ho jata hai. Taham zayada deer tak chawingum chubara nuksan de ho sakta hai. Mahereen ka kehna hai ke 10 min tak chawingum ka chubana thek nahi aur zaiqa khatam ho jane ke baad isay phenk dena chahiye. Kyoun ke yeh dantoon ki sehat ke liye bilkul bhi thek nahi. Kyoun ke dantoon ki sakht cheezon ko torne ke liye banai gai hai. Jub ke chawingum lachakdar hoti hai. jub ke chawingum lachakdar hoti hai aur zayada chabane se dantoon mein toot phoot ho sakti ha. Chawingum chubane ke duran hamara meda ak kisam ka teezab paida karna shuru kar deta hai. Jo ke gaza ko hazam karne mein madad deta hai.
Brush Karne ka Sahi Tareqa:
Ak report ke mutabik duniya bhar mein 3 mein se ak fard subha brush nahi karta. Jub ke aksiriyat galat tariqe se brush karti hai. Jis ki waja se moon ki khatir khawa safai nahi ho pati. Mahereen ke mutabiq is baat ka khayal rakhna zarori hai. Ke dantoon ki safai ke liye istemal kiya jane wala brush zayada purana na ho. Aur har teen mahine ke baad brush change kar lena chahiye. Jub ke dant saaf karte huye brush ko uper nichaye ragarne ki bajaye45 digree ke zaviye per sidha kiya jaye. Aur dantoon ke tamam hison per brush kiya jaye. Is tarhan dantoon mein mojood becteria ko khatam karne mein madad milti hai.
Alsar Ki Sawa Strawberry Aur Mithay Soday ka istemal.
Dantoon ko chamakdar banane ke liye qudarti tariqe sab se behtareen aur kar amad hote han. Strawberry aur metha soda is hawale se kar amad han. Maheeren ne yahan ak kar amad totka bataya hai ke 8 adad strawbarry aur adha chamach metha soda le kar in ka past bana lain aur roi ka tukra le kar isay achi tarha dantoon mar malain. Is tarhan na siraf aap ke dant chamakdar ho jain ge balke sigrate, chaye aur coffee ki waja se dantoon per banne wale dhabe bhi khatam kiye ja sakte han. Strawberry mein paye jane wale khas ajza dantoon ko chamakdar banane mein mufeed sabit hote han.
Thursday, 24 March 2016
Dant Safed Karne Ka Totka In Urdu,Dant Safed Karne Ka Gharelu Upay
Posted by Royals Mag on 03:45 in Beauty Tips Fashion Health Tips | Comments : 0
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
Post a Comment