INTRODUCTION:
Saudia arab ki mumlikat jazira namaye arab ke alake per mushtamil hai. Is ke mughrib mein behra kalzam aur mashriq mein khalej arab waqaya han. Urdan,araq, kuwait, mudheda arab amarat, saltanat oman, aur behreen is ke parosi mumalik han. Rayaz is ka sab se bara shehar aur darul hakumat hai. Saudia arab ka kul rakba 2,194,690 maraba kilo miter hai. Aur abadi 25.195.720 afrad per mushtamil hai.
TAREKHI PASE MANZER
Saudia arab wo moziz aur muqdadar mulk hai.Jisay RASOOL (S.A.W) ka molid aur islam ka gehwara hone ka sharaf hasil hai. Musalmanane alam ke do mukadas mukamat madina munawara aur makha mozma isi mumlikat mein waqeya han. Zamana mazi mein aksar hamla awar taqtoon ne jazera arab ko fatah karne ki beshumar koshishain ki.Lekin kamiyabi hasil na ho saki. Khalafate usmaniya ne 1517 mein yahan apna iqtedar quem kiya. phir 1745 mein abdul wahab ki wahabi tahreeq puray jazera namayearab mein phail gai. Lekin phir 1818 mein usmaniyoun ne misriyoun ke sath mil kar wahabiyoun ke khalaf tehreeq shuru kar di. Lekin 1932 mein wahabi leader abne sawood ne saudia arab ki mumliqat per qabza kar liya. Is tarhan yeh khandan saudia arab ka mustakil toor per hukmaran ban gaya. shah abdul azeez 1950, taak is mumlikat ka farmanar wa raha. Is ke inteqal ke baad shah sawood bin abdul azeem takhat nasheen huya. Yaman se 1962 mein talukaat nehat poshida hhone se shah sawood ke khalaf bagawat hona shuru ho gai. Aur 1964 mein shah abdul bin sawood ko mazool kar diya gaya. Aur is ki jagah shah faisal ne takhat sanbhal liya. yeh shah sawood ka bhai tha. Is ne sarkari adaroon ki azsar no tanzeem ki aur misar se dubara taluqa istewar kiye. 1967 mein arab aur israel ki jung chir gai. jo 6 rooz taak jari rahi. Jis mein roos aur sham ki bhi mudakhalat hui. Phir shah faisal apne bhatejay shahzade faisal ke hathon qatal ho gaya. Aur wali ehad shah abdul azez ban gaya. Haqeeqtan saudi arab ki haqumat ka bunyadi adara al sawood ki badshahat hai. 1992 mein ikhteyar kiye gaye qawaneen ke mutabiq saudia arab per pehlay badshah abdul azez abne sawood ki ulad hukmarani kare gi. aur QURAN mulak ka ayen aur shariyat hakomat ki bunyad hai. Saudia arab is waqat duniya bhar mein masajid aur QURAN ki taleem ke zariye islam ki tarweej kar raha hai. Yahan qanoon sazi wazra ki council amal mein lati hai. Jo lazmi toor per shariyat islami se mutabqat rakhti hai. Adalat sharye ahkal ki paband hoti hai. Aur in ke qaziyoun ka taqarar ala adalti council ki safarish per badshah amal mein lata hai. Saudia arab ke shehar makah mein poori duniya ke musalman har saal haj ada karne ate han. Saudia arab ki maroof tareen look rasam quomi raks hai. Jisay arsa kehte han. Yeh talwaroon ke sath kiya jane wala qadeem badwi rawayat ka hamil raks hai. Alawa azeen saudia arabia ka labas mazi aur islam se taulooq ka akas hai. Is mein mard rawaiti toor per takhne taak ak lambi oni ya sooti kameez pehnte han. Jab ke ortoon ka labas kabaili motiyoun, siko, dhati dhagon aur deezar ashiya se mazeen hota hai. saudi khawateen ghar se bahir naqab aur abaya ka istemal kerti han. Saudi arab ke kul 13 subay han. Jin ke aham tareen shehon mein madina,tabook,makah,jeddah,
dakam aur alkhubar kabal zikar han.
Post a Comment