Royals Mag

Friday, 25 March 2016

Chehre Ke Dano Ka ilaj In Urdu,Chehre Ke Daag Dhabe Door Karna Ke Liye Mask

Chehre per nikalne wale danoo ya keel mahasoo ka sabab tu rang barangi bazari kareemain hoti han ya phir din bhar ki gar do gobar ki waja aur ya phir rogni masalajat aur chat pati gazain,din bhar bazari drinks ki bajaye agar 6 se 8 glass pani piya jaye tu bhi aap ka chehra saaf aur keel mahasoo se bach sakta hai. Sabziyan, tazay mosmi phal aur rozan thori bohat warzish se ak tu aap chak choband rehte han,dosra aap ke chehre per chamak bhi ayee gi. Jin ke chehre per keel mahase ya dane nikalne ki shakayat ho un se najat ke liye ghar ka bana huya saban ya mask bohat faida mand hai. Chahre ko achi tarha saaf kar ke is mask ko din mein 3 bar lagain.
Mask banane ke liye:
 Medicated ubtan                1 khane ka chamach
Taza ful cream doodh          1 khane ka chamach
lemon juice                          1 adad
adrak ka past                        adha chaye ka chamach
kalenda micen lotion            hasbe zarorat
METHOD:
Ubtan,doodh,lemon juice aur adrak ka past ak botle mein achi tarhan mix kar ke fridge mein rakh lain. Subah,dupehar aur shaam ko jub lagana ho tu ak chaye ka chamach lotion mix ker ke lagain,duss se mandarah min ke baad ghar ke bane saban se face wash kar lain.

Post a Comment

 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles