Royals Mag

Latest History Articles

Tips And Totke

Image Post

Cooking Recipes

Wednesday, 30 March 2016

Tomato Benefits For Weight Loss In Urdu, Tamatar Ke Fayde

Apendex ki sujan ke liye khana khane se pehle 100 garam surakh tamater kat kar adrak aur lahori namak dal kar khana mufeed rehta hai.
Pait Ke Kiroon ke liye  surakh tamater kat kar sayah mirach aur namak chirak kar nahar moon khane se peet ke kere mar jate han.
Jin afrad ke moon mein bar bar chale ho jate han woh salad ki jagah tamater khaya karain. Neez tamater ke rus mein baraber wazan pani mila kar garare karne se bhi chalon mein azafa hota hai.
Agar subhan nashte mein ak glass tamater ke russ mein 1 chamach shehed mila kar pee liya jaye tu is se jigar aur pephroon ko taqat milti hai. yadasht mein azafa hota hai. Blood presure kam hota hai. Neez jild ke amraz se bhi hafazat rehti hai.
Woh log jo apna motapa kaam karna chahte han woh khurak per control karte huye warzish ke sath sath kacha tamator, Lemon aur payaz ke sath khaya karain wazan herat angeez tor per kaam hone lage ga.
Yarqan ke mareez ke liye kafi hai ke woh tamater ke russ ka 1 glass rozana piya kare.
JIldi bemariyan ya khon ki kharabi se, daad , chanbal, ya kharish ho tu is ke liye din mein 3 ya 4 bar tamator ka russ piya jaye. Kyoun ke is ki tarshi khon ko saaf karti hai. Jildi bemariyoun ke liye tamator kr juice mein koi cheez nahi milani chahiye.
Garmiyoun ke mosam mein kacha tamator khane se jild ki khuski door ho jati hai. aur ghatiya ke marizoon ko kafi faida pohanchta hai.
aam kharish ki surat mein 1 hisa tamator ka rus aur do hise narial ka tail achi tarha mila kar jism per malish karain aur phir garam pani se gusal kar lain kharish khatam ho jaye gi.
Jin logon ko shugar ki bemari ho in ke liye bhi tamater mufeed hai. Kyoun ke is mein mojood tarshi jism mein shakar ki mikdar ko tanasab mein rakhne mein madad deti hai.
TAMATER KE ISTEMAL MEIN DARJ ZAIL AHTEYATAIN LAZMI HAN:
 1: Khanci ke mareez kacha tamator na khain.
2:  Jism mein kahin sujan ho ya pathon mein dard ho tu tamator ka rus istemal na karain.
3: Gurday masane ki patheri ke marez bhi tamator istemal na karain.
4: Khasosi khayal rakha jaye ke tamator khane ke bad ya tamator juice pene ke bad pani har giz na piyeen.

Sunday, 27 March 2016

Carrot Benefits For Eyes In Urdu,Gajar Khane Ke Kya Fayde Han.

Agar aap ke waldeen yeh kehte the ke gajar khaya karoo is se nazar teez ho gi.Tu woh theek hi kehte the. Is liye ke ak taza tareen tehqueeq bhi is ki taieed karti hai. Lanst global health mein shaya shuda ak report mein researchers  nwe kaha hai ke sabziyoun ko naag bakhshane wale rangdar made jisay kerotinoiderz kehte han ke wo umer se matalik nazar ki kharabi se mehfooz rakhne mein kirdar ada karte han. In pigments ya rangdar made ke sabab hi gajar humain naranji, palakaur shimla mirach mukhtalif rangoon mein nazar ati hai. Bazurg afrad mein nazar ki kharabi bohat aam hai. Aur bari teezi se in logo ki tadad mein azafa ho raha hai. Jo AMD kw mareez han. Jaiza report ke mutabiq 2020 tak 19 karoor 60 lakh yeh maraz jheel rahe honge. aur 2040 taak yeh tadad 25 karoor 80 lakh taak pohanch jaye gi. Haerwerd university ki kayadat mein ki jane wali is tehqeeq mein ak abadi ke survay ke mutabiq deta istemal kiya gaya tha. Jis mein 50 saal se zayada umer ke 1 lakh se zaid afrad ki25 saal tak nigrani ki gai the, Jaize mein dekha gaya ke jin logon ne kerotenoidez lutein aur zeaxxnthin ki sab sse zayada mikdar istemal ki the. Is mein AMD ki advanced sorat mein mubtala hone ka 40 fisad kaam khatra tha. Wazeya rahe ke lotean aur ze agzanthen perda chasham ke sab se aham hisay macula mein sab se zaada paye jate han. Jahan inhain mecular pigment kehte han. Ankh ke parday per mojood yeh rangdar mada khulyat ko fori redicles se pohanchnay wale nuksanat se mehfooz rakhta hai. aur ankhon ko nuksan pohanchane wali neli roshni se bhi bachata hai. Lotean aur ze agzanthen ke hasool ke aham zaraye gajar ke ilawa gehre gehre patoon wali sabziyan aur ande han. Jaize mein yeh bhi dekha gaya keh jin logon ne keri tinoidz ki degar iqsam bhi zayada mikdar mein istemal ki then, in mein bhi addvanced AMD ka khatra 25 se 35 fisad kaam tha. Gajar aur shakaqand alfa aur beta cerotean ke hasool ka aham zariya han. jub ke beta carepyo agzanten santare aur aroo jese phaloon mein zayada hota hai.Jaize se yeh bi pata chalta hai ke agar koi shaks amd mein mubtala ho bhi jaye tu tu bhi keritionds is ke bigarne ki raftar sust kar dete han. AMD ki taqleef mein agarcha ankhon mein koi dard mehsoos nahi hota. Lekin is mein wasti hise ki basarat zail hone lagti ha. Aur amooman is kharabi se dono ankhain kharab hone lagti han. Mahereen ke mutabiq amooman basarat batadrej kam hoti jati hai. Aur is mein waqat lagta hai. Lekin baaz ukat is mein teezi bhi dekhi jati hai. Is kharabi ke bais pharhna dushwar ho jata hai. Rang pheke nazar ate han. Aur chehra dekh kar logon ko pehchanne mein dushwari hoti ha. Filhal is ka koi mukamal ilaj mojood nahi hai. Tahum AMD mein atraf ki nazar mutasar nahi hoti jis ka matlab yeh hai ke mareez mukamal toor per nabena pa n se mehfooz rehta hai.

Friday, 25 March 2016

Rawalpindi History In Urdu,Essay On My City Rawalpindi

Aslamulaikum kareen!
Subah punjab ka kadeem shehar rawalpindi ka purana naam (rawal) tha. Jub ke is ke sath khush (pind) ke naam se mashhoor tha. Jub punjab mein sikhon ka kabza huya tu rawal aur pind ko ak sath kar diya gaya. Aur naya naam pindi rakh diya gaya ab yeh naam kis hakomat ne kub rakha drust maloom nahi hai.Rawalpindi ki abadi taqreeban solah lakh ke lag bhag hai rawalpindi ki awamdo hisoon mein taqseem hai.ak rawalpindi shehar aur ak rawalpindi kent pakistan ka sab se bara kent rawalpindi ka hai. aur pakistan malri ka se  hasas adara g h q yahan rawalpindi kent mein wagai hai. kent kafi bare hise per mushtamil hai. youn keh lain keh adha kent rawalpindi mein aur adha sheher mein ata hai.ab aap ko kent aur sheher ki chand makhsosbatain batata chalon..
Rawalpindi kent:
Foji alaka aur is alaka mein zayada tar fogi ka hi control hai magar lahore,quita,karachi,aur degar  kent ki nisbat rawalpindi kent ka kafi buri halat mein hai. Jahan jahan foji coloniya han yahan safai ka kafi khayal rakha jata hai. Kent ke alaka mein khasi tadad mein aam log jo ke army survice nahi kar rahe rahaish rakhte han.Jo ke kisi bhi kent alake mein kai zayada hai. Kent ke log zayada tar khamosh tabiyat ke han magar dil ke bohat hi ache han. Yahan zayada ter logon ke pas waqat ki kami hai. Har ak yahan kaam kaam aur sirf kaam ke chakar mein hota hai. Behar hal kent mein app ko zaayyada ter khamoshi hi mile gi.
Rawalpindi sheher: 
 Lahore aur pindi sheher mein awam , awam mein, zuban mein,rasm o rawaj mein zara baraber faraq nahiwoh har rasamyahan shehar mein manai jati ha jo ke lahore ki zeenat hai. Jis mein khas ker basant ka zkafi josh o kharosh ke sath manaya jata hai. Is ke bar akas kent mein khamoshi hi khamoshi rehti hai. kent jis qadar khamosh alaka hai sheher us se kai zayada shoor wali jagah hai. khas kar gariyoun ka rush be hujam hota hai. purane waqtoon ki banai hui amartain sikhon ki abadat gahain aaj bhi mojood han jo keh sheher ki zeenat bani hui han. Aj bhi loog kachi amartoon mein rehte han sheher ki sab se umdah baat khane han jin mein savour food sab se zayada mashhoor hai sheher aur kent mein taleem ka nazam sab se acha hai. sheher mein bhi school, college, han magar university mojood nahi ha. is liye rawalpindi ke sath hi islamabad jana parta hai. kent mein kai universties mojood han magar ak ghar mein ak bari amarat per mushtamil rawalpindi ki zayada tar awaam university ki taleem islamabad mein hasil karti hai. Islamabad aur rawalpindi mein khush zayada fasla nahi kent alake ke log 30 min mein jub ke sheher ke 20 min mein islamabad ki hadood mein dakhil ho jate han, Rawalpindi ki shan national ayoub park hai jo ke asia ka sab se bara park hai. 
 
Copyright © 2016 Royals Mag. Articles